Friday 31 August 2012

Home


Duaa ke liye Androoni Wazoo ki ehmiyyat







            Zinda Khuda       ka tarjuma hai. Ye Allah ka jalali tareen naam hai. Is ka matlab hai ke wo hamesha se mojood hai aur hamesha rahe ga. Jab hum Allah ko Zinda Khuda ke naam se pukarte hain tu hamare ikhtiyaraat aur darjaat both buland ho jaate hain aur phir jo kuch hum maangte hain wo Zinda Khuda ki nazar main qabuliyat paata hai. Magar Zinda Khuda ko pukarne aur apni zindagi main bulane se pehle ye zaroori hai ke apne dil ko saaf kiya jaaye aur ye mumkin hai androoni wazoo ke zariye.







            Jis tarah nimaaz se pehle jismani safaee (berooni wazoo) zaroori hai, issi tarah Khuda ki hazoori main apni darkhwast pesh karne se pehle roohani safaee (androoni wazoo) intahaee zaroori hai.







            Duaa kya hai ? Duaa hai Allah se baat cheet karma aur apni poori samajh boojh ke saath apni guzarshat pesh karma. Chunke hamara Rab paak tareen aur Quddus hasti hai isliye laazim hai ke hum jab bhi uski hazoori main pesh hon duaa kalaam ke liye tu roohani taur par paak saaf hon, Yaeni androoni wazoo ke baad us se kalaam Karen.







            Androoni wazoo ka matlab hai andar ki safaee, dil ki safaee. Jab hum apne gunahon se tauba karte hain aue sidaq dil se apne gunahon ki maafi maangte hain tu wo hamen maaf karta hai aur hamare dil ko gunahon se paak karta hai. Magar Allah ki maafi ka ehal hone ke liye intahaee zaroori hai ke hum khud bhi wohi amal Karen jo hum us se maang rahe hain, yaeni hum bhi doosron ki khataon, ghaltiyon aur ziyadtiyon ko maaf kar den. Isliye us ki maafi pane ke liye hamen pehle apne dil se ghussa aur narazgi ko nikaal dena hai aur khule dil se sab ko maaf kar dena hai.







            Androoni wazoo kea mal ke baad jab hum Khuda ko apni zindagi main bulaate hain tu wo aa kar hamari rooh aur dilon ko paakizgi bakhashte hain.



            Yehi rooh aur dil ki paakizgi Khuda se qurbat ka baais hai, aur Khuda ki qurbat mukammal shifa hai.



            Jab ke Khuda se doori bimaryon, dukh, dard, pareshanyon, taklifon ka baais aur sabab hai.







            Dua donon haath utha kar Karen. Dua ke darmiyan Khuda ki mojodgi mehsoos ho sakti hai. Ho sakta hai jism main garam ya thandi lehar, hathon main bhari pan ya sansanahat mehsoos ho ya shayad aankhon main aansoo aa jayen. Aisa mehsoos ho sakta hai jaise koi bhari bojh utar gaya ho. In baton se daren ya ghabrayen nahin balke Zinda Khuda ka shukar ada Karen ke us ne apni mojoodgi mehsoos kara di. Yaeni jo hum ne us se maanga, wo us ne sun liya. Yehi dua ki qabooliyat ka pehla mrhala hai.







            Dua ki qabooliyat ke liye zaroori hai ke hamen Zinda Khuda ki zaat par poora emaan aur ye yaqeen hona chahye ke us ne hamari tamam duayen sun li hain kiyunke wo har waqat har jagah mojood hai, hamen sun raha hai, hamen dekh raha hai.







            Dua ki qabooliyat ke baad hamara faraz hai ke hum uska shukar ada Karen aur doosron ko bhi androoni wazoo ki dua sikhayen.







            Zinda Khuda aap ki duayen qabool farmaye, aap ko apni barkaton se nawaze aur hamesha shetani shar se mehfooz rakhe…Aamin.



 



    Andruni Wazoo aur Shifa Ki Duaa            







Ae hamare piyare Rab ul Aalamin !







1.       Aaj hum apne tamam gunahon se tauba karte hain, tamam gunahon ki maafi maangte hain aur un sab ko dil ki gehraee se maaf karte hain jinhon ne hamen dukh diye ya takleefain pohunchaeen.







2.       Aaj hum apne tamam aabao ajdad aur khandaan walon ke gunahon ki bhi maafi maangte hain. Ae Ghafoor ur Rahim Rab ! tu un ke gunahon ko bhi bakhash de aur unhain maaf farma de.







3.       Aaj hum shaitan ki saari chaalakyon, makkariyon, logon ke jaadu tonay, taaviz gandon, badduaon, badnazar ko radd karte hain aur un se inkaar karte hain.







4.       Ae Rehman Rahim Zinda Khuda ! hamari zindagi main aaa ; hamain mukammal shifaa de aur hamaare saare muamlaat suljha de.(Yahaan apni makhsoos hajat ka zikar kar sakte hain).



Apne paak hifazti farishte hamare charon taraf laga de jo har waqat hamari hifazat Karen aur hamen bachain bimaryon se, badroohon se, aur har qism ki burayon se aur hamen sirat e mustaqeem pe chalaen.







5.       Ae Zinda Khuda ! hamare rizaq main barkat de, hamari aulaad ko nek, laaiq aur farmanbardar bana de; hamen hikmat aur daanaee ata farma de taake hum logon ki shaitani chaalakiyon se mehfooz reh saken.







6.       Ae Zinda Khuda ! hum jaante hain tu is waqat hum main yahan maujood hai, hamen suun raha hai, hamen dekh raha hai. Isliye in tamam duaon ko aaj, abhi issi waqat qabool farma….Aamin.

 



Note : Ye duaa din main 2 ya 3 baar parhain. Chunkay ye aik mukammal duaa hai isliye iss ke doraan kisi aur wazeefay ki zaroorat nahin hai. Issi tarah taaveez gandon ka istimaal chunkay Khuda ke saath shirq ke mutaradaf hai, isliye Zinda Khuda ko apni zindagi main bulaane se qabal in ko talaf kar den.










Iss duaa ka vird uthte, bethte, chalet phirte, har waqat karma hai :



Ae Zinda Khuda ! meri zindagi main aa, mujhe mukammal shifaa de aur mere saare muamlaat suljha de….Aamin.















Parhaiz :  Tamam wazeefon se, ghusse, naarazgi, nafrat, hasad, jalna kurhna, jazba e intiqaam waghera….







Ijazat : Ye duaaen chunkay Khuda se bara he raast kalaam par mushtamil hain, isliye har kisi ko in ki mukammal ijazat hai.



 



Misaali Duaain







Apne har khane par :  Ae Zinda Khuda ! iss khaane ke liye hum tera shukr adaa karte hain. Hamare rizaq main barkat de aur hamara ye khana hum sab ke liye sihat, tandrusti aur shifaa ka bais ho….Aamin.







Shaitani bimaryon ko nikalne ke liye :  Main Zinda Khuda ke naam se hukam deta / deti hun (bimari ka naam lain) ki shaitani bimari, mujh se abhi issi waqat nikal jaa, dafaa ho jaa, seedhi jahannum main jaa aur kabhi wapas na palatna.



Ae Zinda Khuda ! tu aaj abhi issi waqat mujhe mukammal shifa de, mukammal aaram de aur apne paak hifazti farishte mere charon taraf laga de jo har waqat meri hifazat karen…Aamin.







Bachon ke rishton ke liye : Ae Rehman Rahim Zinda Khuda ! tu apna chuna hua rishta mere (bache ya bachi ka naam lain) ke liye mere ghar bhej de, jo hamare liye rehmaton aur barkaton ka baais ho…Aamin.







Nokri ke liye :  Ae Zinda Khuda ! tu mujhe mere liye chuni hui behtrin nokri ataa kar jo mere aur mere khandaan ke liye rehmaton aur barkaton ka baais ho. Aur jab main interview ke liye jaaun tu Ae Rab! Ap mere saath saath hon, mere rehbar hon aur meri madad farmayen…Aamin.

 



Issi tarah apni makhsoos haajat rawaee ke liye duaiya kalmaat muntakhib kar ke har waqat vird karte rahain. Yaqeenan Khuda apni rehmat ko zaahir karne main der nahin kare ga.







Shukar ada karma laazmi hai



Jaise hi haajat puri ho ya shifaa ka amal shuru ho, foran hi Khuda ka shukar ada Karen, kiyunke ye sab ussi paak zaat ki badolat hai.                                                                       

1 comment: